Aap padhege Google Adsense se paise kaise kamaye jate hai uske liye apko kya-kya chahiye aur pahle kya aana jaruri hai, complete beginner guide in Hindi.
Make Money With Adsens |
Adsense Google comapny ki trusted advertise network hai, jiske through apke blog ya YouTube ke liye badi-badi comapny ki advertise kar sakte hai aur paise kama sakte hai.
Google Adsense
Google Adsense ek free service hai, jisme koi bhi blog ka admin (Blogger), YouTube channel ka admin (YouTuber) ya mobile game or app ka admin (developer) advertise le kar apne app, website ya YouTube channel par laga sakta hai.
Adsesne ek bahut aasaan aur friendly online site hai, jaha se account bana kar apne advertise karna kafi aasan hai. Apko Adsense ki taraf se pay hota hai jab apka koi user Adsense ads par click karta hai.
Isliye Adsense ko CPC network kehate hai.
CPC
CPC yaani Cost Per Click, yani har advertise har click ke badle me kitni bid ya amount. Maanlo agar CPC 0.2$ hai to apko 1$ kamane ke liye advertise par 5 click chahie hoge.
Adsense Se Paise Kamane Ke Liye Kya Chahiye?
Adsense se paise kamane se pahle apke pas me in me koi ek chij hona jaruri hai.
- YouTube Channel
- Blog
- Android Application
- Android Game
- Website
YouTube Channel: Google ki most popular service YouTube par channel bana kar YouTube dalna kafi aasan hai, agar aap apni videos se logo ko attract kar sakte hai to ap AdSense se kafi achha earn kar sakte hai.
Blog: Blog banane ke liye bhi Google ki ek service hai Blogger name se. Jaha se blog bana kar agar apke pas me better writing skill hai to yaha se bhi acha paisa kama sakte hai.
Android Application: Yah YouTube aur blog dono me se tough tarika hai, kyonki YouTube aur blog dono me koi bhi programming aur developing skill nahi chaniye lekin android app banane ke liye achhi programming language bhi aani chaiye.
Par agar ap apne blog blog ke base par ek android bina programming language ke banana chahte hai to kuch hi click me online bana sakte hai.
Gooogle Adsense Payment Kaise Karta Hai?
Manlo aapne apne blog ya kisi channel se dollar earn kar liye to ab apko wo payment bank account me kaise milegi?
Google Adsense ki policy ke anusar apko payment 100 dollar ho jane ke bad me milti hai lekin usse bhi pahle apko apke fill-up kiye hue apke ghar ke address par ek Pin Code letter send kiya jata hai. Wo pin code apko Adsense account me submit karne hote hai jise address verification kahte hai.
Jab apka address verification ho jata hai tab apko payment har mahine apke bank account me deposit hoti jati hai jo bank account apne connect kar rakha hai.
Google Adsense ka Future Kya Hai? Kya Yah Trusted Hai?
Puri duniya main kai professional bloggers Google adsense use karte hai, aur duniya kai badi-badi wikihow jaisi website bhi Adsense use karti hai.
Iske sath me Adsense Google ki service hai jo kabhi fraud nahi kar sakti hai. Aur aane wale time me Online advertisement ka scope badhega hi.
Aage hum padhege ki blog & site ke base par Adsense account create kaise kare ya Adsense apply kare, aur phir blog par advertise rakh kar kamai start kaise kare.